Alag swabhaav hona koi burrai nhi hai balki hai acchai.
Kya mukaam haasil kar loge tum ushi 10000 logon ki bheed mai khade ho ke aur ban ke unke samaan?
Mujhe toh banna tha ek aisa chamakta hua heera jo ghoor andhere mai bhi roshini failai. Jiski prerna log le…
Par dekh na paaya koi tyaag mera. Siya ki peedha toh sabne dekh li magar kyu bhool gaye mera vo apaar tyaag?
Naa mili mujhe koi khushi vo tyaag karke na mile koi gam. Santushti thi toh bas mann mai iss baat ki, nibha paayi mai apne Pati ka unke dharma mai saath. Pati ka saath toh jeevan bhar ka hota hai magar saas-sasur ka saath toh bas kuch varsho ka hi hota hai ishiliyea sweekar kar lia mainne apne pati se viyog kyuki banna tha mujhe apni saas-sasur ki shakti. Chaudah varsho ki doori ko hass kar kia sweekar bina laaye aakhon mai ek bhi aansu. Ki saas-sasur ki seva apaar kami na mehsoos hone di unhe unke pyaare Ram, Lakhan aur Siya ki…
Kaale baadalo si ghiri hui thi Awadh ki nagri, chod chale jab sabke chahite Pitaji Maharaj hamare. Mataon ki stithi ho gayi thi gambhir maano kisi bhi sharn tyaag de vo apne praan. Bharath-Shatrughan,  Mandvi- Shrutakeerti ko aane mai din lage 15. Akele sambhala poore rajya ko uss waqt bass yaad karke apne Ram bhaiya ki seekh ko uss waqt…
Bachpan se aazaad pancchi ki zindagi jeene waali mai vo chidiya ho gayi thi bas ek pinjre mai band maano kaat liyea ho kisi ne mere parr. Phir bhi kabhi himmat naa hari mainne kyuki kehti thi Maata Sumitra ki hu mai unke aas ka ek deepak…
Tha tyaag mera apaar, koi seema na thi mere uss apaar tyaag ki. Phir bhi kyu bhool gaya sansaar ki URMILA naamak stree bhi thi?
Janak Dulari mai Mithila ki Yoddha Rajkumari mai nidar ho kar ladti rhi mai chahai ho vo yuddh sthar ya ho vo jeevan ki kathoor paritithiya…
Natkhat si ladki ka badal gaya roop jab jeevan ki sabse badi khushi ka hua anubhav. Maa kehne ko aai mere aakhon ke taare mere dulare Angad- Chandraketu. Di putron ko seeksha ki bane ko nidar aur sahsi ikdum apne pita ki tarah. Maa ka kartavya poora kar hi ri thi ki aagman hua hamari nanhi si pari Somada ka. Chehak utha phir se Awadh ka aangan nahi gudhiya ki kil kaariyo se.
Siya ki leela ko dekho chod chali mere sahare putron ko apne, Maa keh ke bulate the mere Luv-Kush praan pyaare. Dekh naa paaya mere Ram Bhaiya ki peedha koi uss waqt, Rajya dharma mai phass kar lia nirnay apaar. Thi mai uss waqt Raghuveer ke sang, nibhaya ek choti bahen ka kartavya. Sambhala poore parivaar ko, jod ke rakkha ek moti ki maala ke samaan.
Bola jab prabhu ne ki hai tumhara sthaan tumhare pati ke bagal mai, naa aao tum charno mai mere. Phir bhi thukra diya mainne unka vo dia hua prastaav kyuki mujhe toh din raat karni thi seva parbhu charno ki…
Naa jaane kab phir se ujiyara chhai gaa, mujko jag phir se jaan jaai ga.

Please follow and like us:

3 thoughts on “Urmila Ke Mann Ki Baat

  1. Undeniably believe that which you stated. Your favorite reason seemed to be on the web the simplest thing to be aware of. I say to you, I certainly get irked while people think about worries that they just do not know about. You managed to hit the nail upon the top as well as defined out the whole thing without having side-effects , people can take a signal. Will likely be back to get more. Thanks

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Next Post

Krishna, Through Rukmini's Eyes

Wed Apr 29 , 2020
Oh, I am fed up listening praises about him from everyone except my brother Rukmi. Oh, what’s so special about him I wondered as I […]
error

Enjoy this blog? Please spread the word :)

shubhiagarwal229@gmail.com
shubhiagarwal1229