Jag hassta tha mujhpe  “Kesi preet tujhe hai laagi,

naa vo tujhe kabhi mil paaye gaa naa tu kabhi ho paaye gi.”

Arre tum kya jaano bhakti ki ka ye bandhan, hu mai bhi uski aur hai vo bhi mere.

Mai jaanti hu, naa mai kabhi Rukmini bann sakti naa mai kabhi Radha aur naa hi unn 1600 kanyao jitni saubhagin.

Naa mai Dwapar Yug mai jaa sakti naa mere Shyaam Kali Yug mai manav roop mai aa sakte.

Parantu, jisse tum bas mitti ki murti kehte ho, usmai toh mere Shyam ka vaas hai,

Mere Krishna toh hai amar, avinashi, parakhriti k karn-karn mai hai vo. Mujh mai bhi hai vo, tum mai bhi hai vo. Uss aam k paed pe latakte huai aam mai bhi vo toh nadi ki lehron mai bhi hai.

Mere jiss prem ko le kar tum hasste ho, vo tum jaiso k prem se toh bhot hi zayada santushti dene waala hai. Tumne manushya ko vara hai aur badle mai bas dukh hi paaya hai,

Mainne sakshat Narayan ko hai vara isliyea ab jeevan k kaaten bhi kamal k pushp k samaan hai lagte.

Laakhon zulm kiyea gaye mujhpe, laakon baas shariyantra rache mujhe maarne ke liyea, mujhe peedha pahauchane k liyea. Parantu, koi ek nishaan tak nhi laga paaya mere pavitra shreer pe kyuki mujhe sanrakshan pradaan karte hai swayam Narayan.

Manushya ko prem kar ke bas dukh hi hai milta, mainne prabhu ko apna banaya, prabhu se prem kia toh prabhu ne mere kaaton bhare raaste mai bhi pushp bikher diyea, mujhe vo prem dia jo koi manushya kisi jeevan mai nhi hai de sakta…

Jag hassta tha baaton pe meri parantu satya hai ye jeevan ka. Ek baar prabhu se prem kar ke toh dekho, jeevan ke saare dukh bhul jaao ge…

Ek baar prabhu ka haath thaam kar toh dekho, vo manushyo ki tarah kabhi beech raaste par haath nai chorhte,

Ek baar prabhu ki sharan mai aa kar toh dekho, vo kabhi kisi ko dhokha nhi dete…

Ek baar bas prabhu ko apna bana kar toh dekho…

Dictionary:-

Preet – love

Bandhan – relationship

Saubhagin – blessed

Amar/ Avinashi – immortal 

Prakhriti – Earth

Karn Karn – every atom

Santushti – satisfaction

Vara – chosen as my beloved

Zulm – torture

Shariyantra – planning-plottings 

 

Please follow and like us:

One thought on “Prabhu Se Prem – Meera Bai

Leave a Reply to Shubhangi Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Next Post

Why Karna Had Such A Miserable Life?

Thu Jul 22 , 2021
Once upon a time, there was an evil demon king Dambhodabhava in Satya Yuga. In pursuit of attaining the boon of immortality, he did tough […]
error

Enjoy this blog? Please spread the word :)

shubhiagarwal229@gmail.com
shubhiagarwal1229