Hai gyaan ki bhoomi vo toh Videha ki raajdhani hai,
Himalaya, Gandaki, Mahananda, Ganga se ghiri hui voh toh Mithila ki hari bhari nagri hai;
Jaha kabhi bhi ladka aur ladki mai antar naa hua aisi
pavitra nagri hai,
Jaha mila betiyon ko unka samman vo toh Mithila ki pavitra nagri hai;
Jaha ke raja Rajrishi
Janak jaise mahatma the aisi mananiya nagri hai,
Jaha ke rajguru Ahilya putra Shantanand the vo toh Mithila ki mananiya nagri hai;
Jaha Yagnavalkya, Gautam jaisi gunvaan Maharishiyo ka janam hua aisi gunvaan nagri hai,
Jaha Gargie Vachaknavi jaisi gunvaan shikshika ka tha aashram, vo toh Mithila ki gunvaan nagri hai;
Jaha vishva ka
pehla Gauri Mandir bana aisi pujaniya nagri hai,
Jaha Shiva ka Dhanush rakkha gya tha, vo toh Mithila ki pujaniya nagri hai;
Jaha Lakshmi aur Ksheera ne liya janam aisi divya nagri
hai,
Jo saakshi bani Vishnu-Lakshmi, Shesha-Ksheera ke punah milan mai vo toh Mithila ki divya nagri hai;
Jaha chaar behno
ka dikha atoot prem aisi pyaari nagri hai,
Jaha Sita, Urmila, Mandvi, Shruthkeerti ka bachpan beeta, vo toh Mithila ki pyaari nagri hai;
Jaha Ram ne bhang kia Shiv ka
dhanush aisi rochak nagri hai,
Jaha mukt hue Bhagwaan Parshuram apne krodh se, vo toh Mithila ki rochak nagri hai;
Jaha hua
Ram-Siya, Lakshman-Urmila ka maha vivaah ki aisi paawan nagri hai,
Jaha janam hua Gandharvi Lakshman Putri Somada ka, vo toh Mithila ki paawan nagri hai;
Jo jaani gai apni rajkumari Maithili ke naam se voh toh Mithila ki pyaari nagri hai.
Saved as a favorite, I like your website!